Hindi ka istaqbal English ki tehreer
15:13
Shayad ye mera pahla blog hai jo
main apni zabaan me likh raha hun, Kabhi khyaal aata hai ki kya koi is zabaan
ko padhta bhi hoga ? agar padhta hai to kya kabhi kuch sochta bhi hoga ? Aaj
humari zindagi mein ek soch si kayam ho gayi hai ki agar aap hindi ka istimal
karein to aap ek bahut pichre hue tabke se tallukh rakhte hain, log aapko ek
touheen bhari Nazar se dekhenge , log kahenge to kuch nahi bs aapke bare me
andaaze lagainge aur mahfilon me uchalenge. Mera angrezi me likhna wajib tha jo
maine apne saare pichli baton me zikr kiya hai wo zabaan angrezi hi thi , ek
tabqa hai jo angrezi ko bade chaav se padh raha hai jo aaj ka convent da hai ,
jo angrezi schoolon se padha hua hai , jo angrezi college se degree le aaya
hai. Mai nahi jaanta ki wo hindi ko bhi utne hi chaav se padhta hai ki nahi par
padhta to hoga hi . Kabhi samose aur pakode khane baithta hoga to zaror kuch
harf akhbaar ke haath me aaye honge aur zaroor usne socha hoga ki kya is zaban
se mera tallukh hai koi ?
Bade faqr se kahta
hai woh ki , mai angrezi jaanta hun ,
Zara pooch usse ki
kya who khud ko janta hai !!
Mai ye nahi kahta ki kya galat
hai aur kya sahi hai par jab girehbaan me jhankta hun to zaroor sochta hun ki
sach hai ki maine seekh li angrezi par kya ye bhi sach hai ki maine seekh liya
khud ko utarna angrezi mein. Ye sach hai ki is duniya mein agar aage badhna hai
to angrezi seekhna hoga , koi ek bhasha kitne logon tak pahunchti hogi ? Koi ek
bhasha ko koi kitna parhta hoga? Bahut kam hi honge jo isko padhte honge par
kya kuch log nahi hain jo angrezi bilkul nahi jaante wo bilkul nahi jante koi
haraf uska , kya unke liye bhi koi likhta hoga , aaj aap kahoge ki agar
internet par koi baith kar blog padhega to kya wo hindi padhega , google bhi
soch me padta hoga ki koi hindi bhi search karta hai kya? Hum kitna bhi hindi
ki baat kyun na karen mai abhi script to angrezi ki hi istimal kar raha hun.
Bahut aarzoo se maine
khud ko pesh kiya apni zabaan mein,
Baad mein yaad aaya
ki harf to abhi bhi udhaar ke hain !!
Ye kuch aisa maashra khada ho
gaya hai ki hum bhool gaye hain ki khud ko jitna aacha hum apni khud ki bhasha
me samjha sakte hain utna udhaar liye hue nahi , maana ki aaj saari zarrortein
angrezi bhasha se hi poori hoti hain , aaj koi bhi kaam aisa nahi jahan iske
bagair kuch hassil ho jai par kya ye bhi zaroori hai ki apni bhasha ko qurbaan
kar dein , kya ye zaroori hai ki koi ek bhasha acchi hai aur ek buri , mere
mutabik to bilkul nahi agar bhashaon ka takaza ho sakta hia to sirf is baat par
ki log kisko jaante hai , par aaj bhi ek aam aadmi apni matrbhasha se zyada
lagaav karega banizbat kisi aur se. Aaj bhi log samjahte hain apni hi bhasha
mein bhale hi koi kitni bhi acchi baat bata de. AAj bhi log ghazlon ko zyada
doob kar sunte banizbat koi English pop ko. Kya zaroori hai ki aap angrzi mi
likho tabhi accha likhoge ? kya koi American hindi ko translate kar ke padhta
hoga jaise hum angrezi ko translate karke padhte hain? Kya batein logon ki
samjh me zyada khud ki bhasah me aati hain ya jo likhte hain unki bhasaha mein?
Bahut se sawaal hain magar jawaab khain nahi.
Mai samjha raha ek
bhasha ki ahmiyat ahle zamaane ko,
Zara pooch mjhse kya
mai khud ise samajh paaya !!
Bahut hi gahraiyun me sochta hun
to paata hun ki bahut si bhashayen aaye is zamane me aur bahut se logon ne
bahut kuch seekha harek bhasha mein par kisi ne ye bhi nahi kaha ki ye accha
hai aur ye bura, Is bhasha me likhoge to ye acchi baat aur nahi likha to ye buri
baat, Kya wajah hai ki log ghabrate hain baat karte hue ki kahin beizzati na ho
jaye , agar ki kabhi badi mahfilon me ek dossri bhasha ka galat istimaal bhi
garta hai to log adab se samjha kyun nahi dete ki kya sahi hai aur kya galat
aur mazaak is baat ka banate hain ki tmhare muh se harf sahi nahi nikal rahe?
Badi bechain raahein
hain , Bade kism ke swaal hain,
Kis bhasha me kaho
main bataon tmko,
Ki Mere dil mein kya
khayaal hain !!
0 comments
comments